Poems Sms Page 1


i have a pen which is blue, I have a friend which is you.Flowers will die, waters will dry, But our Friendship will never say Goodbye.


aap dil mein ho yeh dil ki bat hai
aap ko na ho yaqeen, yeh or bat hai jab tak rahegi saans tab tak rahegi yaad yeh saans toot jaye tu aur bat hai



mera hathon ki lakiroon k ezafay hein gawa
mein nay pathron ki tarha khud ko tarasha hai bohat


Buht hi mudat k baad kal jab
kitab-e-maazi ko meine khola
buht se chehray nazr mei utray
buht se namoon pe dil paseja
aik aisa safha bhe usme aya
likha huwa tha jo ansuoon se
k jiska unwan "HUMSAFAR" tha
jo safha sabse hi mautabar tha
kch aur ansu phr us pe tapkay
phr us se agay mei parh na paya
kitab-e-mazi ko bandh kar k
tumhare baton mei kho gaya mei
agr tu milta to kaisa hota
Inhi khayalon mei soo gaya mei.


Kathin hey zindagi kitni
safar dushwaar hey kitna
kabhi paaon nahi chaltey
kabhi rasta nahi milta
hamen to sheher men koi
terey jesa nahi milta
mujhey phir bhi merey maalik
koi shikwaa nahi tujh sey
men har dukh jhail sakta hoon
men jaan par khail sakta hoon
agar too aaj hi kar day
muhabbat hamsafar meri.



Merey Humsafar
Bersoon Ki Soch main sochoon to
Kuch Perchahiyaan Kuch Pachtaway
Merey Humsafar Hain
Bersoon Ki Chahat Ko Lamhoon Main Sochoon To
Kuch Aansoo kuch Shikway
Mery Humsafar Hain
Bersoon Ki Rafaaqat Ko Lamhoon Main Sochoon To
Kuch Nafratain Kuch Fasle
Merey Humsafar Hain
Bersoon Ki Dosti Ko Lamhoon Main Sochoon Ko
Kuch Kirchiyaan Kuch Zakhm
Merey Humsafar Hain
Bersoon Ki Mohabaat Ko Lamhoon Main Sochoon To
ik Kho-khala Dil Kuch Murda Jazbaat
Merey Humsafar Hain.


Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono
na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki
na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se
na meray dil ki dharkan larkharaey meri baton se
na zaher ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se
tumhain bhe koi uljhan rookti hai paish qadmi se
mujhay bhe loog kehtay hain k ye jalway paraey hain
meray hamraah bhe ruswaiyan hain meray mazi ki
tumharay saath bhe gozri hoe raton k saaey hain
ta"aruf roug ho jaey tu usko bhoolna behtar
ta"aluq roug ban jaey tu usko toorna acha
wo afsana jisay anjaam tak lana na ho mumkin
uasay ik khoobsorat mour de k bhoolna acha
Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono.


Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho
Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho.


Niend tow khawab ho gai shaid
Jins nayab ho gai shaid
Apnay gharr ke tarha wo larrki bhi
Nazar selab ho gai shaid
Tujh ko sochoo.n tow roshni dekhoo.n
Yoo.n mahtab (Moon) ho gai shaid
Aik mudat say ankh roi nahi
Jheel payab ho gai shaid
Hijar kay panioo.n mein ishq kee nao
Kahein gharqab ho gai shaid
Chand logo.n ke dastaras mein hay
Zeest kam khawab ho gai shaid.


Hum tak aya to mehr E lutf O karam
Tera waqat E zawal tha kia tha
Jis nay teh say mujhay uchal dia
Dobnay ka khiyal kia tha
Jis pe dil saray ehed bhole gia
Bhoolnay ka sawal tha kia tha
Titliya.n thay hum our qaza kay pas
Surkh phoolo.n ka jal tha kia tha.




There are 50 Sms in this category and 5 Pages and you are at 1 page.

1 2 3 4 5

SMS Categories

Useful Stuff

Tracker

    eXTReMe Tracker